Thursday 21 May 2020

Sant Nirankari Mission-Yug purush baba Avtar Singh ji | Pravachan


                                 Pravachan 

  Yugpurush Baba Avtar Singh Ji Maharaj   
  
Baba Avtar Singh Ji

             

Is jug ka dharma padho bhai|
Pure guru sab sojhi payi
                                

Sadh sangat ji, Dhan Nirankar ji! Saad sangat ji satyug treta tatha dwapar ke baad ye kalyug ka samay hai. Ham ye bhali prakar jante hai ki har kaam samay ke sath kiya jata hai. Misaal ke taur par ve mauke boyi huyi fasal hame koyi bhi fayada nahi pahucha sakti. Ya yu samajhle ki agar gahu bone ka samay hai aur ham makka bona shuru karde to hame kaun samajhdar kahega? Sansar me ham murkh bhi kahlayenge  aur makki ka beej tatha uske bone me samay bhi gavayenge. yadi garmi ka mausam hai aur ham bahut keemati aur sundar kambal ya sweater pahan kar bajaar ke aur chal de to garmi se ghabrakar bar bar paseena aayega. Dusare  dekhne wale log bhi majak udayenge. Iska ulta sardi ka mausam hai, barf pad rahi hai aur ham halwayi ki dukan par subah hi jakar kahe ki aadha ser dahi ki lassi ko khub achhi tarah se barf daalkar lassi peene ka kaam achhi samajh kar kiya par hame nuksan bhi uthana pada aur logon ke samane majak ke karan bhi ban gaye. Sadh sangat ji bhav ye hai ki jis prakar ham mausam ke mutabik khate, peete tatha pahante hai, thik isi prakar yug ke anusar jo jaisa vidhan hota hai usi prakar hi karna padta hai. Is sabd me ye mahapurush bramagyani, jimko ham kalyug ka jahaj kehte hai, guru Nanak ji kalyug ke dharma ka is prakar naksha kheechte huye kehte hai ki mujhe bhi pure guru drawa hi iswar, akalpurush, nirankar ki sojhi huyi hai. Main sansar me aakar drashyaman maya ko dekhkar, isme uljha huya tha, purn, parpurn satguru ne mujhe sadaa kayam rehne wale prabhu se mila diya hai. Ab sachhe iswar ko jankar mera dhyan jhuthi maya se upar uth gaya hai aur ab ek sachhe prabhu ke sahare main ji raha hu aur aage bhi mere yehi sahayak hai. Ye sab purn satguru ki daya se hua hai jiska updesh sunte hi mujhe usi pal prabhu ka darshan ho gaya.

       

Pure guru ka suni updesu
Parbrahmu nikati kari pekhu
Saari saari simrahu govind
Antar ki utre chind
                                             

Sadh sangat ji jara apne jeevan par drastic daalkar dyaan se dekho kya sanshar me aapko bhi easa purn sadguru mil gaya hai jis ke milne se aap ko nirankar ki saujhi arthat gyaan ho gaya ho aur saas saas isi ke sumiran dwara anand ho gaya ho. Sad sangat ji, aap sabko manav deh mila hai jis mahapurush ke sabd ki byakhya ho rahi hai unhe bhi manav janm me hi apna par utara kar isprakar kaha hai agar aapko bhi waisa hi gyan ho gaya hai arthat purn guru ne prabhu se mila diya hai, aur aap bhi aisi avastha me, jaisa ki sabd me aaya hai aur un puritan rabbi bhakto me, jinki boliyon kea aage ham namaskar karte hai, koi antar nahi. Fir vahi bani apki hui. Antar kebal itna reh gaya hai ki ve bhakt aaj se kuch varsh pahle the aur aaj aap hajir hai. / 

                                                           
 Vaadi virodhi na paiya jai
Manu tanu feeka duje bhai
Gur ke sabdi sachi liv layi

  
Vaad- virod se prabhu ki prapti honi na-mumkin hai kyuki vaad virod karne wale log dwet arthat ahankar me fase hote hai. Jis prakar ek ghee ke bartan me tel nahi dala ja sakta jis prakar ek mayan me do talvaren nahi reh sakati, thik isi prakar vaad virod karne wale hraday (man) me gyan nahi thahar sakta. Aise logo ka tan, man fika hota hai. Man se feeka arthat irshavaadi vichar dharayen uthati hai aur tan se ve burayi wale kaam karta hai guru ke sabd me hi sach ke sath liv judati hai iska aur koi tarika nahi. Geeta me bhi kaha hai ki jo is puneet gyan ko prapt karna chahe kya vidi kare? Dono haath jodkar muh se kahe ki mujhe iswar janane ka gyan daan karo. Purn satguru ke charno me is prakar namr nivedan karne se prabhu ki prapti hoti hai. Prabhu ko prapt karne ki jo vidi hai, sansar usase to prabhu ko prapt nahi karta. Sochta hai ki mala ferne se, jap karne se, path karne se, pooja karne se, havan karne se, tirthki yaatra karne se, yagya tatha karne se shayad prabhu ki prapti ho jayegi ye achche karm hai aur achche karmo ke liye geeta me likha hai ki jo achche karm hai ve sone ki rassi hai  aur jo bure karm hai wo lohe ki sassi hai magar dono bandhan ke karan hai. Guruvani me is prakar likha hai:                                                                         
                               Nanak bhamati mithia karmu sachaa nishanu



Ye jitne bhi karm hai, sharir ke sath hi samaapt ho jate hai. Inse prabhu ki prapti nahi hoti. Aaj karm kaand me ulajh kar sara ka sara sansar ahankar me ulajh raha hai aur bajay prabhu ko najdeek se dekhne ke, is se dur hota jar aha hai. Jab tak purn guru ki sharan nahi leta sabhi karm, bandhan ke karan banate jate hai.

                                Jo jo karam kiyo lalach lagi tih tih aapu badhayio



Keval purn satguru ki sharan me aane se hi prabhu ka gyan ho sakta hai yadi karm kand aadi se gyan ho sakta to guru amardas ji ko72 saal ki aayu tak karmo ke paschat guru angad dev ji ki sharan na leni padti. Geeta me bhi shri Krishn ji kehte hai jink o meri krapa se gyan prapt huya hai unke sone- jagne, khane peene aur pahanane ke sab kaam pavitra hai kyuki un gyaniyon me meri hi aatma hai.                                                                       
 Sad sangat ji agar aapko purn guru dwara ang sang prabhu ka darshan ho gaya hai aur aap har samay issi ke dhyan me reh kar jeevan vyatit kar rahe ho to aap grahasth me rehte huye bhi beragi ho, kyuki sanshar me rehte, sanshar ke sare karya karte huye huye aapka dhyan apne malik akal purush nirankar me lag gaya hai fir aap me aur puritan bhakt jink i ham vaniyan padte tatha sunte hai dono me koi antar nahi dono ki avastha ek saman hai sabne is avastha kop rapt karna hai.

                                      Sad sangat ji    Dhan Nirankar ji

 Ummid karta hu aapko ye blog pasand aaya hoga aur mere paas aur bhi kayi mahapurshon guruo ke pravachan hai aur main aapke liye aur sabhi mahapurusho ke liye lata rahunga aur  agar ye blog aapko pasand aaya hai to please isko share kare taki aur logo ke paas bhi ye pravachan pahuch sake aur apna comment kar ke bataye ki aapko ye kaisa laga 

                                                     Thankyou


Labels:

2 Comments:

At 22 May 2020 at 21:02 , Blogger Prabhat Kumar said...

Good job bro!

 
At 27 May 2020 at 05:25 , Blogger Yash Nayak said...

Thanks bro

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home