Saturday 9 May 2020

The Nirankari Mission | Dhan Nirankar Ji ka kya arth hota hai | History of Niranakri Missoion | Baba Buta Singh Ji

How are you all ? My name is Yash and I have created this blog for influencing awareness about Nirankari Mission. You will find here many Things about many religious contents and many things about Niranaki Mission in Hindi.



List of contents:

  •  History of Nirankari Mission

  • What is the means of "Dhan Nirankar Ji?"
  • Niranakri Mission Guru Baba Buta Singh Ji

1. History of Niranakri Mission

Sant Niriankari Mission koi prachalit dharm nahi hai balki ek aadhyatmik vichardhara hai. Is Mission ki suruwat 1929 me Peshawar me Baba Buta Singh ke dwara hui thi jo ab Pakistaan me hai. Batware ke sath hi 1948 me India me iski neev rakhi gayi. Iska mukhyalay Delhi me hai. Panjab ke Amratsar me Niranakri samagam me Sunday ko dhamakha hua isme 3 logon ki maut ho gayi


Is Mission ke India 3000 se jyada kendra sahit 27 deshon me 200 ke karib kendra hai tatha 1 carod se jyada anuyayi hai aur is mission ka naam guinission book of world records me darj hai waise to Niranakri mission roj kai samagam hote hai parntu India kai jagah varshik samagam hote hai jo 3 din ke hote hai.

What is the means of "Dhan Nirankar Ji?" 

Nirankari mission ke sabhi mahapurush jab bhi ek dusre se milte to ve milte samay Dhan Niranakar Ji bolte hai as greeting par iska arth hota hai thanks to God, waise to hame ye nirankar har ek saas par yaad hona chahiye, kyuki hame hamesha ye nirankar yaad nahi hota to jab koi mahapurush unse milta hai to usase unhe iswar ki yaad aati hai to iswar kodo tarah se thanks karne ke liye ki unhone  ek mahapurush ke darshan karaye aur unke aane se unhe niranakr ki yaad bhi aayi to ab ike saabdik arth ko samajhte hai to "DHAN NIRANKAR JI" ka pehla sabd hai Dhan arthat Dhanyabad arthat Niranakar tera dhanyabad.

Nirankari Mission's Guru

Nirankari mission ke kayi guru rahe hai aaiye sab ke bare me jante hai   
 
                                                      Yugpurush Baba Buta Singh Ji    
             
Nirankari mission ke pehle guru hai Baba Buta Singh Ji 19th century ke undivided India ke Kemalpur jile ke Hadwaal gawon me Bishan Singh Ji aur Mata Mayavanti Ji namak dampatti niwas kar rahe the. Unki sampattik sthiti bilkul samanay thi lekin neki ke raste par chalkar ve apna jivan yapan kar rahe the. 1873 me is Mata Mayavanti ki god me ek dhanya balak ne janm liya santan prapti ki ki khushi me pati-patni fule nahi sama rahe the unhone  bade pyar se apne bête ka naam rakha “Buta”. 


Punjabi language ke Buta sabd ka Hindi me arth hota hai Pautha us samay kisko pata tha ki yahi  Buta aage chalke puri Manavta ko influence karne wale brahmagyan ka buta banega. Iswar ki leela anuthi hai. Kis ghat ke madhyam se konsa kaam karwana hai yahi jaanta hai. Iswarbhakti me Baba Buta Singh ji ki ruchi bachpan se hi dekhi gayi. Jab unke sangi sathi khel kud aur mauj masti avam shararaton me lage rahate the us samay yeh balak bujurgon ki sangat me baithkar prabhu charcha me bhag leta tha hari charcha karne me Use bada anand aata tha baba ji ke 3 bhai  aur ek bahan thi lekin sabhi bhai bahano me se inka swabhav bilkul alag tha. Baba Buta Singh Ji ko Gurudware me geet gana boht pasand tha aur gurudwaron me kirtan karte karte Baba Buta Singh Ji ne yuvavshta ko chhul liya. Baba ji ne fauj me bhi kaam kiya hai lekin wo kaam baba ji ko pasand nhi aaya kyu ki ve usase bhakti ke liye sayam nahi mil pata tha isliye unhone ye naukari chhod di. Baba ji ka vivah 18 saal ki umar me Lajwanti ji ke sath hua lekin plague ki bimari ke karan 1904 me hi parlok se dhar gayi Uske baad Bba Buta Singh ji ka vivah Hadwal ki hi “Vanti” ji se hua.  Ek din Baba ji ke dil me prabhu Milan ki tivr jigyasa jagi



. ‘Tu’ sabd ka Gurubani me iswar ke liye prayog kiya gaya hai isliye unke man yah sawal baar baar uthata kit u sabd ko to ham hamesh kisi samsnewale se baat karne ke liye karte hai iska arth hai ki iswar mere samane hai agar wo mere samane hai to wo mujhe dikhai kyu nahi deta  yah alokik rahasay janane ke liye wo itne utsuk ho uthate the  ki wo rone lagte the. Ek baar wo gurudware me gayan kar rahe the wahan sangat me Baba Kahan Singh Ji bhi baithe huye the unhone bhi unka   gayan suna. Kirtan ke baad Baba kahan Singh ji  Baba buta sing hji ke paas gaye aur unse “Bhai sahib, kya sachmuch hi mohan aapke  ghar me aate hai ya yuhi logon ki wah wah le rahe ho?” itna keh kar wahan se chale diye. 



Lekin is vakya se Baba Buta Singh Ji ke dil par gahari chot lagi. Sochne lage to unhe ahsas hua ki is mahatma ke paas jarur hi ‘Mohan’ ka  pata hai aur mujhe is mahatma ko milana hi hoga aisa sochkar wo gurudware se bahar nikalne ke  baad seedhe hi Baba Kahan Singh Ji  ke niwas sthan par pahunche. Wahan jane ke baad kafi samay tak Niranakr prabhu ke bare me gyan  charcha hui. Baba Buta Singh Ji guruwani ke rahshiya to the hi, ishi karan Baba kahan singh ji ke sath guruwani  ke aadhar par hui gyan charcha se Baba Buta Singh Ji bahut prabhabit huye.


 Kahan Singh Ji ke kathan me chhalak rahi satya nistha , drudta aur vishwas se baba Buta Ji andar se prabhu Milan ke  liye aur adhik aatur ho uthe. Man me shanti ka ahsaas hua aur unka hraday anand se gadgad ho utha. 1929 se lekar 1943 tak 14 saalo tak ke antaral me Baba Buta Singh Ji  ne pure visv ko aman aur chain ki sheetalta pradan karne wale sant Nirankari mission rupi ped ka ropan karke use itna majboot banaya ki sansar ki koi takat use hila na sake.
 Aapka vyaktitva atyant tejasvi tha. 1873 se 1943 tak 70 saal ki aayu aapko prapt hui. Itni aayu ke babjud bhi aapke baal antim samay tak kale the.bhagvadbhakti me leen hokar apne virodhiyon ya nindakon se darte huye badi nirbhayta se jeevan aapne jiya.

  Jaise koi pita jyada samay ke liye kisi durdesh ke liye prasthan kar raha ho to vo jate samay apne ghar -parivar ki puri puri vyavstha karke jata hai, waise hi Baba Buta Singh Ji ne Sant Niranakri Mission ki jimmedari vidhivat Baba Avtar Singh Ji ke kandhon  par saup kar parlok gaman kiya. Is parkar Baba Buta Singh Ji ke prasthan ke sath hi Nirankari mission rupi manav mukti ke abhiyan ka pahla charan pura kiya.



 Agar aapko ye information pasand aayi to is Blog ko share kare aur agar aap chahte hai ki main aapke liye aesi intresting information lata rahu to comment karke bataye ki aapko ye information kaisi lagi Sant Nirankari Mission bahut mahaan hai aur intresting bhi agar aap chahege to main Nrankari mission ke sab guru ki biography jeevan kartha leke aaunga
 
                              BigThank you for reading this post 

                                 Pyar se kehna dhan Nirankar Ji  




Labels:

4 Comments:

At 9 May 2020 at 14:30 , Blogger Yash Nayak said...

Hope you like

 
At 14 May 2020 at 12:01 , Blogger Unknown said...

Yes i loved it

 
At 14 May 2020 at 12:54 , Blogger Prabhat Kumar said...

Supercalifragilisticexpialidocious bro!

 
At 14 May 2020 at 17:04 , Blogger Unknown said...

Yes I like...This..

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home